कैसे पता लगाएं की कोई दूसरी कॉल पर बिजी हैं बिना कॉल किये ही? call busy hai kaise pata kare bina call kare
Hallo guys kaise ho. Dosto aap kisi friend ya apne kisi family members par najar rakhna chahate ho to aap ye bhi janana chahate honge ki wo kya ab kisi call par busy hain ya nahi or aap is ko clearify karne ke liye aap call karte honge lekin ye ek cheapest rasta hain ye pata karne ka aaj ke is post me hum batayenge ki aap kaise pata kare ki koi number abhi kisi. Call par busy hain ya nahi wo bhi bina call kiye hi or jaise hi wo kisi call par busy aayega to bhi aapko apne aap hi pata lag jayega
Call kiye bina Kaise pata kare ki wo busy hain ya nahi
Dosto aapke phone me truecaller to install kar hi rakha hoga aapne to yadi nahi kar rakha hain to main aapko bata du ki ye ek esi app hain jo kisi bhi number ke owner ka naam aapko batati hain ye naam 100% sahi nahi mana ja skta lekin ye 80% numbers ki sahi details bata deta hain.
- Truecaller ko apne mobile me install kare
- Is app me apna mobile number register kare
- Ab aapko isme apne contact number or recent calls dikhenge
- Or unhi numbers ke niche aapko kuchh last seen dikhayi dega green dot ke saat
- Agar koi number busy hoga to last seen ki jagah Red dot ke sath “on a call” likha hua milega
Is taraha aap kisi bhi number ka pata kar sakte hain ki kon kon abhi call kar raha hain wo bhi bina call kiye hi.
Aapki bhi call ka koi pata kar sakta hain.
आपकी भी कॉल का कोई पता लगा सकता हैं।
Dosto yadi aapne apne phone me truecaller install kar rakha hain to log aapke number ki details bhi dekh sakte hain ki aapki call chal rahi hain ya nahi.
Hum call kar rahe hain kisi ko pata nahi lage kya kare? हम कॉल करे तो किसी को पता नही चले क्या करे?
Agar aap chahate ho ki aap jab bhi call karo to kisi ko pata nhi lage ki aapka call chal raha hain yani aap busy ho to ese iske liye aapke pass 3 raste hain jao bahut easy hain
1. Hide privacy
Aap apne truecaller me aapni privacy ko hide kar sakte hain iske liye or apni privacy hide karne ke liye ye steps follow kare.
- Truecaller me 3 horizontal lines par click kare.
- Ab niche hi niche settings ka button hoga use tab kare.
- Ab aapko ek option milega Privacy Center us par tab kare
- Ab yanha par Availability ka option aapko enable milega to usko disable kar dijiye
2 Restrict Internet deta
Dosto yadi aap chahate ho ki aap dusro ke number kisi call par hain ya nahi ye bhi pata karna chahate hain or ye bhi chahate hain ki apna baare me koi pata nahi kar paye to aap internet off karke hi baat kare jabhi bhi koi call kare kyunki ye truecaller app online hi work karta hain.
3. Uninstall
Yadi aapko kisi ki enquiry nahi karni or apni bhi koi enquiry na kar paye to aap truecaller ko hi uninstall kar de
Thanks for visiting Technical Pariwar